logo
logo
Sign in

Redmi Note 9 Pro Max Full Specification and Price

avatar
Smartphone Gyaan
Redmi Note 9 Pro Max Full Specification and Price

Redmi ne aaj Launch kar diya hai Redmi Note 9 Pro aur Redmi Note 9 Pro Max ko. Redmi na aaj sabko niras kar diya hai kuch bhi khas dekhne ko nahi mila dono hi phone mein. Ab hum baat krange Redmi Note 9 Pro Max ki jo same three color option milta hai Interstellar Black, Aurora Blue and Glacier White, sath hi three storage option 6GB RAM ka sath 64GB internal storage, 6GB RAM ka sath 128GB internal storage aur 8GB RAM ka sath 128GB internal storage.

Display
Redmi Note 9 Pro Max mein bhi same 6.67 ki Full HD+ Dot Display di gayi hai, jismein Corning Gorilla Glass 5 ki protection di gayi hai. 60HZ ka normal refresh rate dakhna ko milta hai. HDR10 ka support bhi nahi milta hai.

Processor
Redmi Note 9 Pro Max Processor bhi same wahi Qualcomm Snapdragon 720G diya gaya hai, jo 8nm ka architecture par base hai. GPU ki baat kre to ismein Adreno 618 diya gaya hai.

Camera
Camera mein jarur difference dekhne ko milta hai. Redmi Note 9 Pro Max mein aapko 64MP ka primary camera milta hai, 8MP ka Ultra wide sensor, 5MP ka macro sensor and 2MP ka depth sensor diya gaya hai. Selfi ki baat ki jaya to 32MP front camera ka diya gaya hai.

Battery
Redmi Note 9 Pro Max mein bhi same 5020mAh ki battery di gayi hai jo 33W ka fast charger ka sath aati hai. jabki Redmi Note 9 Pro mein 18W ka fast charger aata hai.

Other Important Feature
Redmi Note 9 Pro Max mein bhi side mounted fingerprint sensor milta hai jase hume Realme 6 pro aur POCO X2 mein milta hai. Front aur back dono mein Corning Gorilla Glass 5 ki protection di gayi hai. 3.5mm audio jack, USB Type-C, IR Blaster, P2i splash-proof coating, bottom-firing speakers, aur dual microphones with noise cancellation aapko is phone mein diye gaye hai. Redmi Note 9 Pro Max mein dedicated microSD card ka slot milta hai isme aap 2 SIM aur ek memory card laga skte ho. Phone ka weight 209 grams hai aur thickness 8.8mm ki hai. NFC aapko ismein nahe milta hai.
My Opinion ya hai ki is phone ne bhi sabhi ko niras kiya hai, sirf camera aur fast charger de kar sabko  pagal bna diya redmi ne. Realme 6 Pro ka price 17k hai aur Redmi Note 9 Pro Max 15k ka hai, mein aapko suggest karuga POCO X2 ko jo 730G Processor ka sath aata hai aur 120HZ ka refresh rate diya gaya hai.

Price
Redmi Note 9 Pro Max: (6GB+64GB): 14,999 INR
Redmi Note 9 Pro Max: (6GB+128GB): 16,999 INR
Redmi Note 9 Pro Max: (8GB+128GB): 18,999 INR

Click Here for Latest Mobile Update: www.smartphonegyaan.com

collect
0
avatar
Smartphone Gyaan
guide
Zupyak is the world’s largest content marketing community, with over 400 000 members and 3 million articles. Explore and get your content discovered.
Read more