logo
logo
Sign in

Bohag Bihu Wishes and History

avatar
Manish Nigam
Bohag Bihu Wishes and History

14 April ko Assam ke log bihu celebrate karte hain. Assam me festival ko bahut dhoom dham se manaya jata hai. Is festival ko kisaan, Mausam ki pahli fasal ghar lane ki khusi mein manate hain. Is din sabrai devta ko kisaan fasal bhent kar unki pooja ki jati hai. Bihu ke festival ko lekar aisa mana jata hai ki isse ghar mein sukh samridhi aati hai. Is parv par khas mithai peetha dekar doston aur rishtedaron ko badhai di jati hai aur lokgiton par lonritya ki parampara nibhai jati hai. Is khas tyohar ke mauke par aap apne rishtedaro aur dosto ko bohag Bihu wishes in Assamese ke post me se ye message bhej kar bihu ke parv ki shubhkamnaye de sakte hain.


Top 10 Point Bihu Festival | How to Celebrate


  • Bihu ka festival ek krishi festival hai jise wahan ke kisaan apni fasal ki buwai, katai aur unki suraksha ke uplabdh mein har varsh 3 - baar aayojit karte hain. Ye mukhyatah chawal ya dhan ki fasal par aadharit hai.


  • In tin bihu ko rangoli bihu, kongli bihu aur bhogali bihu ke naam se jana jata hai. Yeh tino kramsah, dhaan ki fasal ki buwai karna, fir uski raksha karna aur fir uski katai se sambandhit hai.


  • Isme rangoli bihu sabse mukhya bihu hai jise baisakh bihu ya bohag bihu bhi kaha jata hai. Yeh hindu calendar ke anusaar baisakh ke mahine mein, Assam ke calender ke anusar bohag ke mahine mein aur english calender ke anusaar april mahine mein padta hai.


  • Rangoli bihu saat dino ka mahaparv hota hai, jisme alag alag din ka alag alag mahatva hai. Isme sabse mukhya din ko goru bihu ke naam se jana jata hai, jisme kisaan apne gai ko nadi ke paas le jakar use haldi ke lape se nahlate hain aur unki vidhi purwak pujan karte hain.


  • Kongli bihu  ko kartik bihu ya kangali bihu ke naam se bhi jana jata hai. Yeh hindu calender ke anusaar kartik mahine me diwali ke karib padta hai. Isme Kisan apni fasal ki kit-patango aadi se raksha ke liye diye aadi jalate hain aur khusiyan manate hain.


  • Uske baad me aata hai bhogali bihu jo magh mahine mein padne ke karan magh bihu ke naam se bhi jana jata hai. English calendar ke anusar yeh january month me padta hai. Yeh faslo ki katai aur aur uske samagri banane se relatives hai.


  • Bhogali bihu mein assam kisan parivaar dhan, chawal, gur, til aadi ke swadist samagri banate hain jaise ki nariyal ke laddo, til ke laddoo, til pitha, ghila pitha, kharbuja ke biz, etc.


  • Baisakh bihu ke din assam ke logon ka navwarsh bhi hota  hai matlab usi din se wahan ke claender ki shuruwat hoti hai aur wahan ke log apna naya saal manate hain.


  • Iske sath hi baisakh bihu ke din se hi assam ke logon me shadiya aayojit honi bhi shuru ho jati hai. In dino rishta pakka karne ka apna special mahatva hai.



  • Bihu ka festival assam ke sath sath uttar-purva bharat ke kuch bhago aur nepal and bangladesh ke bhi kuch bhago me aayojit kiya jata hai. In dino bharat desh ke anya rajyo mein bhi festival manaye jate hain jinhe hindu alag alag rajyo me alag alag naam se jante hain.


collect
0
avatar
Manish Nigam
guide
Zupyak is the world’s largest content marketing community, with over 400 000 members and 3 million articles. Explore and get your content discovered.
Read more